Aankhon Ka Kasoor - KAVITA (Hindi Poem)A Poem by Gaurav WaliaTu hai toh zindagi main toh roshni hai nahi toh sabb banjarr aur sukhi aandhi haiAankhon Ka Kasoor
Har raat ki tarah, Ye raat bhi dhal jayegi,, Tu hai nahi sath mere, Teri yaad toh har pal satayegi…
Dil mein teri goonjti awaaz, Thammne jo lagi hai, Meri duniya bhi ab doobne si lagi hai…
Chali jao dur, Kitna dur tum jaogi?, Pure jahaan ko parakh ke, Wapis mere paas hi toh aaogi…
Tanhai seh sakta hun, Par tera gham nahi, Tu rahe khushnuma, Toh mere liye gham hi sahi…
Kubool ho meri dua, Barkarar rahe ye hassi, Chahe rahe judaa, Main intezar karunga yahin…
Vaada jo kiya hai, Nibhaunga har din, Bina jhapkaye palak, Aur reh lunga tere bin…
Sooni hain yeh baahein, Toh sooni yeh aankhein hain, Japta tera naam, Teri nazrein meri kaatil hain…
Yeh aur kuch nahi, Teri aankhon ka kasoor hai, Ishq-mohabbat kuch nahi bas teri aankhon ka kasoor hai… ![]() © 2013 Gaurav WaliaFeatured Review
Reviews
|
Stats
1899 Views
6 Reviews Added on September 21, 2013 Last Updated on September 21, 2013 AuthorGaurav WaliaDelhi, IndiaAboutI might be just another guy putting his thoughts on a page but not mincing my words, I only tell the unvarnished truth, gulping down the fear, I dive into the expanse of love, hatred, fantasy, blood, .. more.. |


Flag Writing